Sunday, 27 November 2016

Teri yaadon sy bheega FeBrUaRy,

Yakh basta Hawayen,
Aur munjamid Saaye,

Dil py chhayi hai
Gham0n ki dhund

Jaana'n!

Aur

Es Dhund k paar
Door kaheen,

Guzishta
Sa'aton ka
Saath,

Beetay lamhon ka
Jaisy,

Sard hawaon main
Koi Dia
Timtimata hai,

Mery chaar soo
Dard ki gehrayi hai,

Meri tanhayi
Holay se gungunati hai,

Teri yaadon sy
Bheega FebRuArY
Phir Loat aaya hai...!

No comments:

Post a Comment